Aaj ki article mei hum jaanenge sbi net banking online registration process in hindi. Internet banking aaj ke date mei sabko aani chahiye.
Kyu ki Sbi net banking ki help se hum bina bank gaye huwe bot saare kaam kar sakte hai.
Agar aap SBI ke bank account holder ho. Aur aapke pass internet banking nahi hai aur aap bank jaana v nahi chahte ho toh yeh article aapke liye hai.
Kyuki iss article mei hum baat karenge “sbi net banking online registration process in hindi”
SBI net banking online registration process in Hindi Steps
Sabse pehle aapko sbi net banking ke official website pe visit karna hoga.
Ya toh aap simple Google mei ja kar type kar sakte hai “sbi net banking” aur search result ke 1st website pe jaa sakte hai. Jaisa niche ke image mei hai.

Ya phir aap URL pe type kar sakte hai www.onlinesbi.com. Aur enter daba de. Iske baad sbi net banking ka official website open ho jaayega.
Yaha aapko 2 option milenge:-
- Personal Banking
- Corporate Banking
Aapko simple Personal Banking choose karna hoga. Kyuki Corporate banking bank staff ke liye hota hai.

Ab aapko “Personal Banking” mei option milega “New User/Registration” . Iss option ko click kar de kyu ki issi option se hum sbi net banking ke liye apply karenge.

“New user/Registration” pe click karne ke baad ek pop-up aayega. Jismei likha hoga ki agar aapke pass pehle se Pre-Printed kit hai toh iss link ka use na kare.
Aur Personel Banking mei ja kar Pre-Printed Kit mei diye gaye username aur password daal kar login kare.
Agar Pre-Printed Kit nahi toh “OK” pe click kar de. Click karte hi ek naya window open ho jaayega jaisa niche photo mei hai.

Ab next pe click kar de. Click karte hi ek naya page open ho jaayega. Jismei aapko kuch information type karna hoga.
- Account Number
- CIF Number
- Branch Code
- Country
- Registered Mobile Number
- Facility Required
- Full Transaction Rights
- Limited Transaction Rights
- View Rights
- Enter the Text as shown in the image (Captcha)
Saare details ko fill karne ke baad “Submit” pe click kar de.

Click karte hi aapke registered mobile number pe OTP aayega. Uss OTP ko type kare aur confirm kar de.

Ab aapke pass 2 option milenge:-
- I have my ATM Card (Online Registration without branch visit)
- I don’t have my ATM Card (Activation by Branch only)
Agar aapke pass ATM Card hai toh option 1 choose kar le otherwise aapko option 2 choose kar ke apne branch jaana hoga activation ke liye.

Option 1 Choose karne ke baad aapko apne ATM Details type karna hoga, Jaise:-
- Card Number
- Valid Through/Expiry Date
- Card Holder Name
- ATM PIN
- Captcha Code
Aur phir Proceed pe click kar de

Ab aapko Username type karne bolega.

Username type karne ke baad. Aapko username availability check karna hoga. Agar Username available hai tab phir login Password set kare.


Yaad rahe Login Password mei niche diye gaye points ho:-
- Capital Letter
- Small Letter
- Numeric Digit
- Symbolic Characters

Ab aapka Sbi net banking activate ho chuka hai.


Ab aapko wapas se Personal Banking mei jaaye aur phir apne Username aur Password se login kare.

Login hone ke baad yeh aapko Profile Password set karne bolega.
Profile Password set kare but yaad rahe Profile Password aapke login password se different rahe.
onlinesbi.com
Profile Password kaise Reset karte hai jaane ke liye yaha click kare


Profile password choose karne ke baad aapko Hint Question aur Hint Answer set karna hoga.


Ab aapko apna date of birth aur place of birth fill karna hoga. Yaad rahe date of aur place of birth same wahi rahe jo aapke bank account mei registered hai.

Password set hone ke baad ab aap SBI net banking ko use kar sakte hai.
Ab aap aaram se Internet banking ka use kar sakte hai….
Toh yeh the saare steps sbi net banking online registration process in hindi ke.